Saturday, May 12, 2012


Zindagi hamesha kuchh naya dikhayegi, Kabhi hasayengi to kabhi rulayegi. Is par bharosa mat karna, Ye zindagi hai ,na jane kis mod pe akela chhod jayegi.. Dard ka ehsas janna hai to pyar kar ke dekho, Apni aankhon main kisi ko utar kar dekho. Chot un ko lage gi aansoo tumhein aa jayein ge, Ye ehsas janna ho to dil haar kar dekho… Milta hai kyu ye dard bas hum hi ko, Kya samjenge woh in aankho ki nami ko, Lakho deewane ho jis chand ke, Woh kya mehsus karenge ek tare ki kami ko… Jo ansu ki tarah behta gaya wo raqt hu mai…. jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai….. shayad isi tarah hona likha meri taqdeer mai khuda ne …. jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai………

No comments: